Wafa Sms / Urdu Wafa Sms
Usually Urdu Wafa Sms is sent when people love and trust others but Urdu sad poetry and bewafa Sms or urdu bewafa poetry is vice versa of urdu wafa poetryWo Meri Baanhon Mai So Geya
Post: 22/02/12
Wafa sms
Wo thaka huwa meri baanhon mein zara so gaya tha to kya huwa,?
.
Abhi main ne dekha hai chaand bhi kisi shaakh-E-gul pe jhuka huwa.
.
Mere sath sath sada raha wo meri nazar se chupa huwa,
.
Yeh ajeeb hijr-O-wisaal hai na kabhi mila na juda huwa.
.
Koi phool dhoop ki pattiyon mein haray riban se bandha huwa,
.
Wo ghazal ka lehja naya naya na kaha huwa na suna huwa.
.
Jisay lay gai hai abhi hawa
wo waraq tha dil ki kitaab ka
.
Kahin aansuon se mita huwa kahin aansuon se likha huwa.
.
Kayi meel rait ko kaat kar koi moaj phool khila gayi
.
Koi pairr piyaas se mar raha hai nadi k paas kharra huwa.
Submit By: D0ol
Na Bana itna DeWana
Post: 22/02/12
Wafa sms
Na Bana itna DeWana Apni
Yadon ka
Ay meri jaan
Kal ko HuM hi na rahe To TuJhe itna Yaad kon Karega.
Submit By: D0ol
YAAD POETRY SMS
Post: 22/02/12
Wafa sms
Bikhre rishton ko koi roop dedo
khilte Phoolon ko thorhi dhoop dedo,
aapki yaad aayi to yaad kiya hamne,
aap hamari yaad aane ka koi saboot dedo.
Submit By: D0ol
Khata Hogai To Saza Suna Do
Post: 22/02/12
Wafa sms
Khata hogai to saza suna do,
“Dil me itna dard ha waja bata do,
“Dair hui yaad karne me zaror lekin,
“Tum ko bhula denge ye khayal Dil se bhula do.
Submit By: D0ol
Bahot Yaad Aai
Post: 22/02/12
Wafa sms
Uss ki Aankhon k isharon ki bahot yaad aai.
Aaj pat jhar mein Baharon ki bahot yaad aai.
Larkhrata huwa Maikhany sey jab main nikla.
Teri baahon k saharon ki bohat yaad aai.
Jab b ponchay kabhi hathon say jo aansou apney.
Terey Daman key Kinaron ki bahot yaad aai.
Aaj viraan say iss shehar mein, Aay janay wafa.
Mujh ko bas Apny pyaron ki bahot yaad aai.
Submit By: D0ol
Tum ajnabi thay to
Post: 22/02/12
Wafa sms
” Tum ajnabi thay to Roz yad kartay thy”
.. ” Mujhe ” ..
“Tumein apna hone ka ehsas dilaya to”Yad”
hi karna chor dia.
Submit By: D0ol
Rotha xm
Post:
Wafa sms
"Tu"Rootha" Rootha Sa Lagta"Hai, Koi"Tarkeeb"Batao Manane Ki, Main"ZINDGI"Girrvi" Rakh Sakta Hoon, Tum "Qeemat"Batao Muskurane Ki.
Submit By: Xm
Kamal karty ho
Post:
Wafa sms
Har roz bhula dete ho kamal karte ho, hansti ankhon ko rula dete ho kamal karty ho, Nahi hai mohbat to saaf keh do,kyun umeed barha dete ho kamal krtye ho, hum tumhen Bhoolne laghte hain jab bi, aa k pyar jtaa dete ho kamal karty ho, janty be ho aik hee diya hay mere ghar main, phir be hawa dete ho kamal katy ho, Bhoolny ka jo mujhy roz kehte ho "jana" Yun Yaad Dila Dete ho kamal karty ho, Khud hi kehty ho k nasha haram hay, aur aankhon se Pila Dety ho Kamal karty ho..........
Submit By: Muhammad imran
